, ,

Ye raat kab tk dhalegi

Credits: Dikshita baby 💓


ye raat kb tk dhalegi,
tu yaad kb tk rahegi,
gaano me se kb tu hogi fanaa,
Kaano me goonjte hai jo jhoote lafz
kb tk girau inhe zameen pr mai aansuo ki zubaan?
karwat lete waqt tu kyu satati hai
har dafa pehli baar si tu mujhe yaad aati hai

aye khuda, maana ki musalsal ki zameen aaj koso dur hai
karz ho ske toh itna kr tu,
meri raina niptaade,
koi dawa hogi toh zajbaat krde na sunn mere,
nafrat aati nhi mujhe,
ishq mumkin nhi abse ,
tu mujhe din de,
meri raat ko koi ghri neend me dafa kr de,

chuki khaab mujhse dekhe nhi jaate
jb zindgi saamne naachti hai
in dino chaand bhaata nhi kyunki
chaand uski yaad dilati hai
aaj kal toh suraj hi hai jo mereko hosh me laata hai
yhi h jo har subah mereko apne patthar dil se mulakaat krwata hai


phir bhi naa jaane kyu
raat tk ye dil phir pighal jaata hai
kisi ki yaado ko neend ki goli samajh ke
Ye chaand hume har dafa de jaata hai.

-kiranpragati

Leave a comment


Design a site like this with WordPress.com
Get started